Kuch ankaha sa chodh gaye tum, humen is kadar akela chodh gaye tum. Bitaya vo bachpan tere aangan main maine, tere dular se hi to khud ko seencha tha maine. Ek nazuk si komal kali hi to thi main, mujhe khilta guldasta banaya tune, Ek kachi maati ko saakar banaya tune. Tera chaukhat par khadhe ho, karna inetezar mera, "le peeja dahi ka paani, garmi bahut hai" ye kehna tera. Sabse nazren chupakar,meri har khwaish ko poora karna tera, zindagi k dav pech mujhe sikhana tera. Daant kar zabardasti meri thali bhar dena tera, "abhi to kuch khaya hi nahi" ye kehna tera. nanaji ko bhej bazar har baar mangvana vo motichoor k laddoo tera, "meri aniya ko bahut pasand hai" ye kehna tera. Tera khilkhilana, nanaji ka naam sun sharma jana. Mujhe apne aancal main chupake rakhna, "aa gayi meri aniya" ye kehna tera. Saaj shringar se kuch gehra sa naata tha tera, ek bhi safed kesh behad napasand karna tera. khubsurat sa chehra, vo badhi lal bindi, kale ghane kesh, vo seedhe palle ki saree pehan sajna tera, kaise bhuloon nani tujhe, jab mere bachpan k har pal, har kisse main kahin na kahin hai zikra tera. Toot si gayi thi tu, jab chodh gaye nanaji humen, par khadhi ho muskurayi thi fir bhi hum sab ki khushi main tu. ishwar ka matlab sikhaya tha tune mujhe, bhakti hoti hai kya samjhaya tune mujhe. Kya kya yaad karun, kuch bhule nahi bhul sakti, nani main tera karz nahi chuka sakti. Aaj chali gayi tu chodh ruansa mujhe, us chaukhat pe kaise jaun dubara jahan na ab saaya tera. Jate jate le gayi mere dil ka tukdha tu, kaise bataun ki mere liye kya thi tu. Tu to samajh jati thi sun aawaz meri ki khush hun main ya hai ye jhooti hansee , fir aaj kyun bhul gayi tu sab aur let gayi ban shant ek murat tu. ghabra jati hun jab aata hai ye khayal mujhe ki ab na sun paungi teri awaaz main, na chu paungi tujhe aur na kabhi dekh sakungi tujhe. Uljhi thi apni zindagi ki kashmakash main "main", na mil saki tujhse tere jane k pehle main. ab to rehna hai teri yaadon main mujhe, na fer sakti waqt ka pahiya main. Miss you nani, you will be loved forever. Though you left us, but you will always live in our hearts.
